Sunday, 10 April 2016

Lal chudiyan pahnaaun - Navratri Bhajans




Laal chudiyan pahnaaun
Chunari gote waali laaun
Chalke nange paanw aaun
Tere dwar datiye mujh daasi ka
Mujh daasi ka bhi kar de uddhar datiye
Mujh daasi ka

Aaja aaja bholi maiya
Tujhsa aur na koi khewaiya
Kar de kar de meri maiya
Se par datiye mujh dasi ka maiya
Mujh dasi ka bhi kar de
Uddhar datiye mujh dasi ka
Laal chudiya chadhau chunari gote wali laau
Laal chudiya chadhau chunari gote wali laau

Hui galatiya jo mujhse maaf kar de
Chola gunehgar ka ye saf kar de (x2)

Meri bhuli bisrake reham thoda bahut khaake - 2
Paas charno ke bithaake de de pyaar
Datiye mujh dasi ka maiya
Mujh dasi ka bhi kar de
Uddhar datiye mujh dasi ka
Laal chudiya chadhaau chunari gote wali laau - 2

Tere maa bhandaron me na aayegi kami
Mujhko bhi jyot ki maa de de roshni (x2)

Tune sabki laj bachaai jisne yaad kiya tu aayi - 2
Itni der kyon lagaai meri
Baar datiye mujh dasi ka maiya
Mujh dasi ka bhi kar de
Uddhar datiye mujh dasi ka
Laal chudiya chadhaau chunari gote wali laau - 2

Chalke nange panv aaun tere
Dwaar datiye mujh dasi ka maiya
Is dasi ka bhi karde
Beda par datiye mujh dasi ka...

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...