Maiyaji teri maaya samaj me na aaye
Maiyaji teri maaya samaj me na aaye
Sagar ki gehrayi ka jaise koi ant na paye
Sagar ki gehrayi ka jaise koi ant na paye
Maiyaji teri maaya samaj me na aaye
Ham hai sabhi khilaune tere maiya daas selaune tere
Naam tere ke hain diwane naach rehe hain saanjh severe
Wohi khele khel bhawaani jo tu hame khilaye
Maiyaji teri maaya samaj me na aaye
Sagar ki gehrayi ka jaise koi ant na paye
Maiyaji teri maaya samaj me na aaye
Dharati parbat ambar sagar tere naam se huye ujagar
Purab pashchim uttar dakshin sheesh jhukaye dharpe aaker
Suraj chand sitaare kitne kuch bhi gina na jaye
Maiyaji teri maaya samaj me na aaye
Sagar ki gehrayi ka jaise koi ant na paye
Maiyaji teri maaya samaj me na aaye
Tu jagdambe tu hai kali bhakt jano ki tu rakhwali
Tere naamki mahima gaye patta patta daali daali
Kahi pe dhoop kahi pe chhaya kya kya rang dikhaaye
Maiyaji teri maaya samaj me na aaye
Sagar ki gehrayi ka jaise koi ant na paye
Maiyaji teri maaya samaj me na aaye
.
Nirbal ko balwaan kere maa nirdhan ko dhanwaan kere maa
Sabaki ichchha puran karati jo bhi tera dhyan dhere maa
Josh kahe murakh aur gyani tune sabhi benaye
Maiyaji teri maaya samaj me na aaye
Sagar ki gehrayi ka jaise koi ant na paye
Maiyaji teri maaya samaj me na aaye
No comments:
Post a Comment